Naye saal mein aapki unchey udaan ho,
Meethhey pakwanon ki unchey dukaan ho,
Panpatey shahar ke maaldaar mohalley mein,
Aapkaa ek aalishaan makaan ho,
Upvan mein aapke tota ho, maina ho, titar ho bater ho,
Dyoddhi pe aapke gurkhaa diler ho,
Neta se dosti ho, CBI mein pahchaan ho,
Afsaron ki aawaa-jaahee ho, chahal-pahal ho,
Angney mein aapke bachhon ki kilkaari ho,
Tandurusti buland ho, na koi bimari ho,
Uttam taknik ki lambi-badi gaadi ho,
Sab kucch bana rahey jo saarthi Murari ho.
Advertisement