Milti naa rahat koi, jab dekho tab aafat koi,
Shikaar khud apne ko samajhataa shikaari hai,
Apna saroop bhula, garab bahut phoolaa,
Bhanwar pada jeev jab se sansaaree hai,
Pukarta hai baanh do, koi to thaam lo,
Na jane kab samajhega apni jimmedaari hai,
Ram ka naam le, ghanshyam ka naam le,
Chain nahin jab tak na murat saanwali nihaari hai,
Ab jage naa sotaa hai, phoot-phoot rota hai,
Bhukh se behaal, dar-dar ka bhikharee hai,
Sajan kau dur hai dero, netra-vihin aru goongo behro,
Chalat thasak ke khar ki nai, sir pe dhare pitaari hai,
Haath mein tosha nahinĀ manjil ka bharosa nahin,
Ubatan kar itar se nahaye , surat badee sawaanri hai,
Ram ka naam le, ghanshyam ka naam le,
Chain nahin jab tak na murat saanwali nihaari hai.