Gham hamaarii daulat haiN jaan se pyarey haiN,
cheen nahiN saktey jo daawedaar bichaarey haiN.
****
Raqaabat mein yuuN mubtilaa hogey,
muhaabbat ko kya anzaam dogey
Nafrat ka zahr peekey aagey barho,
inshaallah kaamyaab hogey.
****
talaash thi aisii shay ki jo sitaam sahey muhabbat karey unse
aainey mein jhaankatey they sunaaii diya ke dikhtaa hai mil lo.
****
yaad kartey they unki par jeetey they duniya mein,
ik baar bhuuli duniya dekhaa wo milaney aaye haiN.
****
waqt jab ayega sab chhoDD ke jaana hogaa,
taarikh kya kahegi kya kahta zamaana hoga.
****
museebateyN ho gayiiN khadii huey mashhoor jabse,
dubey chullu ke paani mein huey maghroor jab se .
****
koshish ki baaNdh leyN,kambakht haath nahiN aataa,
zaalim barhaa hai ye waqt kabhi baaz nahiN aataa.
****
Ek teer se do shikaar, do diloN se adhaa paar,
ek myan mein do talwaar,neechey paanii upar dhaar.
****
hai jaltey dil ki dawaa aansuoN ki dhaar,
kuchh dost aisey haiN ke rone nahiN detey.
****
zindagi ke saath chaley waqt aagey barh gayaa,
waqt ki raftaar pakdhhi zindagi pichhadhh gayii
****
bhuul jaaney ke liye dil ko maarnaa hogaa,
jaan deN ke dil bachaayeN kya kareN ab kya kareN
****
hukumateN badalti gayiiN har daur mein lekin,
aam aadmii ke dard ko pahchanaa nahiiN koi.
****
Sabka dard mere dil ko dukhaataa hai,
is lihaaz se kam se kam maaldaar huN.
****
kartey they laalach bahut raas na aayaa,
tizaarat ki magar kuchh nahiN payaa,
ab lutaatey haiN ziaada aur batortey haiN kam,
dugnaa ho jataa hai Allah ki kasam.
****
Betii rukhsat toh ho jaati hai ghar se, dil mein kyoN rah jaati hai.
****
Beti ke ashq ponche they maa ne jis dupattey se,
wo aaj tak maa ke ashqoN se ghilaa hai
****
chaal-baazoN ka hi bas lehzaa badalta hai,
na badley dil meraa aur na lehzaa badalta hai.
****
khushiyoN ki kkhaatir is andaaz se kareyN ham,
ghamoN ki manind wo bhi wapas na jaayeN.
‘kayar’