tumhaarey liye to raasta aur kisi ka makaan bah jaayega,
dariye ko hadoN meiN bahnaa chaahiye man ke maafiq nahiiN.
–
yeh kah ke kisi ki haNsi mat chheeno,
ke koi haNsey to tum tarhapatey ho.
–
ham to shamaa jaaleye they andheroN se uub ke,
kisi ne parda kheeNch key phir aNdhera kar liya.
–
Aiy khuda zaalimoN ki umr cheen ke raheemoN ko banaaye rakh, ameeroN ko dey man chaahe par pyaaroN ko dey zaroorat bhar.
–
jo zaroorat hai tumhaari wo jaanta hai puuri karegaa
zaroorat mandoN ki fehrist meiN zikr yumhara bhi hai!
‘kayar’
Advertisements