Hazraat Kahtey HaiN…

apne chain ke vaastey gazalgoi kartey haiN ham, hammarey bhi kahaaN koi haamii hazaar haiN. **** mujhko sataayaa ttheek hai ghar meraa kyoN jalaa diyaa, maaNgii jab jab panah tuuney isii ghar sey milii tujhey. **** parhatey rahey janaab khat mere aaj tak jawaab aaNkhoN sey diya hai, kyuN na dastuur badliye khat aap likhiye jawaab deyN meri aaNkheyN **** ye aadam ki aulaad kuchh aisii naasamajh sii hai, jis chaman meiN chahakati hai usiko ujaaDD deti hai. **** roz kartaa huuN salaam aankheyN jhukaa letaa huuN, ‘gar ho ijaazat to kam se kam ik roz nazareyN milauuN. **** mitti ka mila zism magar itna tapaa liya hai, ab dariyaa bhi paar kar leNgey bekhauf rahatey ham. **** kahtey haiN mohabbat meiN peNch baDDey haiN, jo aajiz hai zindagi sey parwaah kyoN kareyN. **** aasaani sey aap toH har baat kahtey haiN, muhabbat meiN ye ttheek nahiiN hazraat kahatey haiN. **** Meera se puuNchheyN Ranaji aakhir tera pati hai kaun, Mohan ki moorat chitvat Meera baani sey rah gayi maun. **** barkha thii jab miley they tum se soch nit barseyN nainaa, kabhuuN na aaye phir laut ke manmeet chit khovey chainaa. **** dost banaaiye to kya dostii hai, jo bas ho jaaye wahi dostii hai . **** chalo sunaauuN tumko jo beetii ik baar, kii hamney mohabbat paaliiN zahmateyN hazaar. **** agar ham sochatey hotey muhabbat kar nahiiN paatey, yehi manzuur e khuda tha na hi socha na bach paaye. **** gham tumsey mila hai jo ajeez hai hameyN, muhabbat hazaaroN kii tthukra chukey ab tak. **** bulaaye gaye ham raqeeb merey nahiiN, mehfil mein lutf hi rah kahaaN gayaa. **** ghar meiN band ham seeney meiN dil mirey, roney ka jee toH hai, ik mauqa to dijiye. ***(* Ghalib nahiiN Sauda nahiiN aur Momin nahiiN huN maiN, dharhakey dil yaaroN ki khaatir shayer wahi huN maiN. **** aatey se kasak jaayeN to tees utthey, kahiye jo muhabbat isko galat kya hai. **** nek kaam karna hai to kuchh bardasht bhi karna hai, tery raah meiN bichh jaayeN kaantoN to kya bura hai! **** kahta rahaa yuuN na maar mujhey nazar bhar dekh ley, kyuN arey bedardii lii meri jaaN wo bhi nazar pher ke. **** zakhm khaaye kuchh aisey ke bhar to gaye, na jaaney kyuN ab talak kasak nahiiN gayii. **** nazaroN se na pilaai haathoN meN diya jaam, munH morh ke baithey haiN pyaasey abhi talak. **** jo khalish usney dii ban gayii merii daulat, is sey ziaada koi kya mehrbaaNi kareyga. **** raja toH jail meiN hai, faqeer haiN baadshah, kaljug ka pher hai haiN sab ke sab shahanshah. **** bharaa thaa pyaar sey meraa dil, cheera wo bhi qatra-e-khuuN ke liye. **** kantoN ki chubhan dil mera guDguDaye hai, gul ke saath hai so mujhey toH bhaaye hai. **** terey nazdeek aa key jhulas gaye ham to, sholoN si dhadhakati haiN aankheyN terii. **** hai pyaar beshumaar tumhey hamsey hameyN tumsey, maaluum na tha ye pyaar hua ik khwaab ke zariye. **** kabhi duubata tha dil kabhi payaa qaraar-e-dil, kabhi roye sisak sisak kabhi haNs ke rijhaye dil, kabhi manaauuN baa-mushqil kabhi maan jaaye dil, kabhi na koi muqaabil kabhi haar haar jaaye dil. **** bharii aaheyN na aaye kiya dil-nissar na aaye, ba-awaaz e buland hamsey pukaaraa na gyaa. **** muhabbat meiN mubtilaa hue alfaaz nahiiN miltey, sangeet hai roohaanii sur-o-saaz nahiiN miltey. **** chaley aaye bahut duur muskuraatey muskuraatey, akhiir meiN jaanaa ke ye to rone ka saleeka hai. **** muflisi ki baat hamsey yuuN na kijiye, hamey maaluum hai dil se hai maaldaar kaun kaun. **** dil khol ke kahiye jo baat dil meiN hai, allah ki aawaaz har shay ke dil meiN hai. **** maaluum hai khatra aazmaaye ko aazmaaney meiN, aadii haiN har khel ke khatarnaaq zamaaney meiN. **** insaaN huuN insaaN ko jaan pahchaan na sakaa, kaisey pataa karuuN insaaN huuN ke nahiiN huuN. **** khushiyaaN munassir kisi duusrey ke dam, apni kahaaN huiiN wo toH udhaar ki huiiN. **** dil jo kisi ke paas mera chala gaya, khud chala gayaa dil se nahiiN gayaa. **** tabiyat meiN fareb tha yuuN to janaab ke, bhool gaye fareb jo miley dil ke raastey. **** pii letey baDDey shauk sey jo zahr bhi detey, kyuN pila pila ke jaam e hayaat maar daalaa. **** ilzaam bahut they kiya khaDDa huzuur meiN, ham bhi na they hosh meiN they suroor meiN, maafii milii turant suniye baat kya hui, muahabbat ki wo bhi likhii thii qusoor meiN. **** hamney liye khareed do chaar baazaar sey, itney rangeeN khwaab par raas kahaan aatey. **** logoN ko na dekhiye kisi ek ko dekhiye, log to kuchh aisey kuchh waisey bhi haiN. **** kartey ho nazar-andaaz har ulfat ki nazar ko, pachhtaaogey kya tum nahiiN har shaam-o-sahar ko. **** yehi hai khushi kisi ne majboor kar diyaa, watan ke pyaar meiN ab darna door kar diyaa. ‘Kayar’