Pet MeiN Khalaa Liye…#urducouplet

raqeeboN se kah do teghoN pe dhaareyN rakhawa leiN,
maashooq ki gali hai jab chaahuuNga chalaa aauNgaa.

baDDey hathiyaar rakhatey ho jaaney kab waar kar baittho, nazar yuuN rakhii hai tum par ke khaali na chalaa jaaye.

kis kambakhat ne khareedii muhabbat jisko kahtey haiN, magar jab gale paDD gayi to phenkii bhi nahiiN jaatii.

miley jo gham raah e ishq meiN ham beenatey chaley,
chalo is raastey kabhi tum na ye darpesh aayeNgey.

dost haiN hazaar hai tanha har shaks phir bhi,
duniyadaari ne kisko na aur kya na barbaad kiya.

jab bharat ki dharti pe videshi urvarak daaley,
beimaanoN ki kharpatpaar ne khet tabaah kar daley.

kagaz na mila qalam na mila na miley alfaaz waqt na mila,
tujhey khat likhaney ki hasrat liye dil meiN ab jaana hoga!

saath chalana hai to chaliye zaroor,
zakhmi ham bhi haiN na dikheyN to kya.

tumne na dard na zakhmoN ki shiqaayat ki kabhi,
mohabat hai toH ahsaas phir kyoN na hoga hamko.

hasratoN kahiiN chalii jaao,
qabr meiN itni jagah kahaaN hogi,
ham to wahaaN sotey hoNgey,
tumahari phir kis ko parwaah hogi.

gila hoga to kya tumko ghair bhi banana hoga,
gila apnoN se nahiiN kya ghair se karna hoga.

na royeN meri aaNkheyN suurat koi aisii banaa do,
dil ko maiNey kah diya hai jo tum kaho maan legaa.

aawargi ko apni zara lagaam do,
rukh ko apne merii jaanib moDD lo,
jee baDDa ghabra rahaa hai aaj raat,
kaan meiN do bol meetthey bol do.

gulshan udaas hai ke kahaan gum gaye mere woh,
jinke dam se abke patjhad jald aa paayaa nahiiN.
sayyad jinke dar se paNcchi pakaD paayaa nahiiN,
jinke gham se ab talak koi ubhar paayaa nahiiN.

is liye kahta huuN ke dil ke andherey duur karo,
akhbaaroN se roshni ki koi nahiiN umeed hai,
raat andheri beet gayii uska to savera ho kabhi,
dhyaan do kaun royaa pet meiN khalaa liye.

‘kayar’
16/05/2013

Rasm Nibhaya kijiye…

wo kya fasaadaat rok paayeNgey jo ye nahi jaantey,
ke ghair pe ho waar to dil apna bhi hua ghayal kahiiN!

uDDana bhar aataa hai kya tair ke dikhayega,
roshani se dar lagaa to phir chiraag bujhayega.

jisko mainey chahaa usiko bairan chaahey,
phir bairan ko bairan aakhir kaha kyuN jaaye .
(bairan=competing woman)

kabhi panghat ki wo dagar baDDi hotii thi katthin,
dagar toH hui aasaaN magar panghat pe paani nahiiN rahaa.
premiyoN ko koi rokta na ho chahey duniya meiN,
magar pyraar ka jo samajha tha maani kabhi ab nahiiN rahaa.

mera daaman bahut saaf hai,
kyuN aapney keechad uchhal di,
kise maaluum dhul chuka hai,
aapmey bekaar baat bigaaDD di.

koi yuuN to mere paas nahiiN hai,
par maiN kisi se duur nahiiN huuN,
mujhey tum shayad jantey na hoge,
chuunki maiN mashhoor nahiiN huun.

Manzur hai mujhey tu ghulam banaade,
par aazaad meraa hindustan banaade,
azaad kahaataa zaroor hai ye desh,
par chhaati se chand shaitaan hataade.

din guzaar diya sotey sotey,
raat bhi guzaarani hogi rotey rotey,
muhabbat ka phanda na dalaa hotaa,
haay achcha hota unke na hue hotey.

chalo baateyN kareyN chup rah ke sahi,
tabiyat baDDi udaas hai aaj.

teri buraai kahaaN kisi se karni thi,
tere zikr hota rahey yehi iraadaa tha,
sunaney ko tariefeyN tayyar na they,
buraai kahaaN kii bas charaa daalaa tha.

mausam laut ke bhi aatey haiN,
insaaN gaye to phir nahiiN aatey,
aatey haiN toH wo nahiiN hotey,
wo hotey haiN to raas nahiiN aatey

din guzar gayaa raat aayii hai,
tum se takra ke roshani nahiiN aayegi,
hawa ka rukh tumhari jaanib hai,
hameyN raat bhar niiNd nahiiN aayegi.

samandar koi dushman nahiin tumhara jo sahil sey,
tumheyN to ghar samait apne ghar ley ja rahaa hai.

tere qurb ne hameyN baDDa kamjor kar diya,
yehi wajah ban gayi ke paas nahiiN huuN.

aazaad to dil se hamesha rahey ho,
ho sakta hai kal beDDiyaaN khul jaayeN.

Jhukney meiN harz kya hai ameer ke aagey,
usmeiN bhi khuda hai ye maan ke jhukiye.

haathoN se kaam karkey lakeereyN banaaiye,
zakhm haathon ko kamjor nahiiN kartey.

zaalim haiN jo bachaa kartey haiN,
aashiq aisi kaunsi khata kartey haiN

tanhaai ki umr guzaar leNgey,
ik baar milaney ki dua kartey haiN.

tairaney ki juddo jihad kartey haiN,
samandar meiN sukhan ke ham,
dua kartey haiN moti tum nikaal lo,
gahrey meiN paitth kar sanam.

baDDi mushkil ke imkaan bhi ho judaai ka,
baDDi mushkil hogi jab tumsey judaai Hogi.

juda hoN aur muskuraaeyN ye hai mushkil bahut merey liye,
gale lag do aansoo bahaa ke rukhsat ho jaayeN manzur hai.

arey lutf muhabbat ke har lamhey ka utthaao,
hisaab zafaa aur wafaa ka kis kaam aayega.

khuda ke wastey tumko aanaa zaroor hoga,
khuda ke raastey par ley ke jaanaa zaroor hoga.

chalo ghamoN ke bhaar se dab ke mar jaayeN,
gham kha kha ke roz roz thak gaye ham.

wo jo martey haiN wahi yaaroN ki baahoN meiN girtey haiN,
baahoN ko yaar ki to yoNhii badnaam kiyaa hai .

jo paddhatey rahey namaaz kiye gunaah baad meiN,
to bhi ik din aayega ke sabaab honey lageyNgey.

hameyN to ik bahaana chaahiye,
har shaam sang suhaana chahiye,
khushboo ban key nagma ban key,
khyaal ban key ya fizaa ban key.

suna hai meri aankh mein paani nahiN bachaa,
itnaa ro liyaa huuN ke saanii nahiN bachaa.

paani ki tankiyaaN khaalii dekho,
sharaaboN ki bahati naalii dekho.

hukumateN badalti gayiiN har daur mein lekin,
aam aadmii ke dard ko pahchanaa nahiiN koi.

koshish ki baaNdh leyN,kambakht haath nahiN aataa,
zaalim barhaa hai ye waqt kabhi baaz nahiN aataa.

log kahtey rahey kuchh ban ke dikhaao,
ham aab se bulbulaa tak na ban paaye.

tery chashm se jharati aab ki har booNd,
mere dil ko duboney ke liye kaafi rahii hai
tery chashm se dhalati har aab ki booNd,
mujhey betaab banaa kar ke bahaati rahii hai.

zindagi kaat li apni aur bahadur badey bananey chaley,
kisi ki zindagi ban jaao ya bachaao tab bano bahadur!

karke muhabbat hosh meiN jo dikhatey ho,
lagta hai muhabbat nahiiN tamaashaa kartey ho.

jo kahna na tha hameyN wo kisi ne kah diya,
baat paraayi ho gai ham kartey to kya kartey

dil ke paas koi naap taul nahiiN hai,
wo toH ghaibi ishaaroN ko pakarh letaa hai,
usey maluum nahiiN kuchh bhi hota hai,
aur zindagani ke safar pe chal bhi deta hai.

meney maaNgii duaayeN aur wo mil bhi gaye,
dar hai ke unkey man ke namaafik na hua ho.

ehasaas e khuda jab itna saaf ho jaaye,
ke har shay meiN uska aks nazar aaye,
toH jaaniye ke apne ko jaan chukey haiN,
khidmat ka sabab ab kyuN na mil jaaye.

barbaad hona chaahtey they khuubsuurti ke saath,
pakarhii raahey e ishq isi khushfahamii ke saath.

chaley aaye luutney tasdiiq bhi kii nahiiN,
lut chuka sab kuchh pichhali muhabbat meiN

neta ko tane mat maaro ab shayaad mauqa aakhiri ho,
ho sakta hai kal wahi ley ke katoraa bhikhaari ho

rahnumaai jo qaum ki aaj kar rahey haiN aalim haiN,
par unkey upar baitthaney waley baDDey zaalim haiN.

aaNkh meiN paani nahiin hoga,
ragoN meiN khuuN nahiiN hoga,
toH is duniya meiN jo hoga,
hameyN manzuur nahiiN hoga.

har muhabbat ko nateejey tak pahuNchana chaahiye,
baat nazaroN se ho kanoN ko sunanaa chahiye.

meri suurat dil meiN chhupaaney se kya hoga,
aagosh meiN chhupao to badnazar se bacheyN ham.

pyaar ki wo barisheyN kahaaN ab,
diloN ki zameen geeli kahaaN ab,
qadamoN ke nishaaN chhuteyN kaise,
patthriilii raah pe hai chalna ab.

kaisa daur aa gayaa shairi meiN aaj,
na koi lucknow hai na dilli,
na koi bachaa alam-bardaar sukhanwar
na miltii ab hai wo tasalli.

kuchh barat ke dekhtey to sabak samajh bhi letey,
kinaarey baith ke koi geela nahiiN hota.

nizaam e mulk ki baabat kya baat kartey ho,
kya jaantey nahiiN pal bhar meiN kya kya hota hai,
kar rakho saaman ikatthaa taa umr ke liye,
narm bistar pe karwat badalney ko insaan rota hai.

hamaare aaNsu to jab nikale haalat e daur dekh karnikaley,
duniya kahati rahii aur kahati hai ke ham rotey bahut haiN.

jab har saaNs hi ek khabar ho toH kya khabar tumko jaaye,
khabar paakey kya karogey jab zindagi ban tareekh jaaye.

haiN darey simtey hue tamanna ko lag gaye par,
fadfadaaney ke sivaa aur chaaraa koi nahiiN.

zakhm tumko lage zaroor taqleef hamaiN ziaada hui,
marham laaganey ke baad aaraam ham dono ko hoga.

tu hi saahil tu hi kishti nakhuda patwaar tu hi,
ham tu itna maan kar bekhauf bhaNwar meiN samaa gaye.

zindagi ki daurh meiN bethaasha na daurhha karo,
aagey jo nikalega wo tumsey madad maaNgta hoga.

aap ko yaad haiN ham bhool jaatey haiN,
wahi guhaaH baar baar kiye jaatey haiN.

haal hamaara tum pe khulaasaa hai toH kya,
mizaj pursi kar ke rasm nibhayaa kijiye.

‘kayar’
12/05/2013

Bhanwar Mein Samaa gaye…

jab har saaNs hi ek khabar ho toH kya khabar tumko jaaye,
khabar paakey bhi kya karogey jab zindagi  tareekh ho jaaye.

haiN darey simtey hue tamannaa ko lag gaye par,
fadfadaaney ke sivaa ab aur chaaraa koi nahiiN.

zakhm tumko lage zaroor taqleef hamaiN ziaada hui,
marham laaganey ke baad aaraam kya ham ko na hoga.

tu hi saahil tu hi kishti nakhuda patwaar tu hi,
ham tu ye maan tere jee ke bhaNwar meiN samaa gaye.

zindagi ki daurh meiN bethaasha na daurhha karo,
aagey nikal jo jaayega tumsey madad maaNgta hoga.

aap ko yaad haiN ham bhool jaatey haiN,
wahi guhaaH baar baar kiye jaatey haiN.

haal hamaara tum pe khulaasaa hai toH kya,
mizaj pursi kar ke rasm to nibhayaa kijiye

jo muhabbat se milta hai,wo aur koi kahaaN dega,
jo muhabbat se na miley,use leyN bhi tu kya hoga.


Ishq ko tasqeen nahiiN ashq e damaadam se bhii,
is zamaaney meiN gayii hai barqat gham se bhi …#Meer

Qasr o makaaN o manzil ekoN ko sab jagah hai, ekoN ko jaa nahiiN hai duniya azab jagah hai…#meer Qasr=mahal jaa=sthaan

us khudaai ki kya barhhiya baat hai,
bandagi baad meiN pahle saugaat hai.
_
jo dushman se pyaar kartey haiN,
sab unsey bhi pyaar kartey haiN.

kuchh naam aisi jagah pe likhey jaatey haiN,
laakh mitaaya chahey koi na mit paatey haiN.

ghamoN ko peeney ki pyaas kisey hui kabhi,
aur kaun aisa hai jisey peeney na paDDey.

haNstey haNstey thak gaye khud pe janaab ham,
ab toH koi jee bhar rone ko kah to mitey gham.

na chhodd paaye rishtey aur duur ho gaye,
khiNchaa chala jaata hai ye dil kya kijey.

ye beemaari har dil ki hai kya bataayeN,
pahli muhabbat kyuN bhooli nahiiN jaati.

chand taaroN se aagey aa gaye ho kya wapas ja sakogey,
aiy musafir e muhabbat kyuN na safar puura kar lo tum.

arey laut ke aa jaao waar khali gaya tumhara,
jaaN chahiye mujhsey puuchho atki kahaaN hai.

“बेनियाज़ी हद से गुजरी बन्दा परवर कब तलक ।
हम कहेंगे हाल-ए-दिल और आप फारमावेंगें क्या!”
-ग़लिब

dil toot gayaa ab jee ke kya kareNgey,
phir socha ke akhir mar ke kya milegaa,
isi uhaa poh meiN jeeye ja rahey haiN,
chal paDDeNgey jab kabhi nyota milegaa

dil leke chal diye ab bacha kya hai,
par wapas na karna mahfooz wahaaN hai.

waqt ke gaal par dharka jo aNsu,
shahjahaN ki aNkh se tapka wo aNsu,
jantey haiN usko sab TajMahal hai,
rone ke liye kis pe haiN aisey aNsu.

kya kahiye ro paDDatey haiN jab ‘daagh’ yaad aata hai,
paddh daaltey haiN jald jo haath uska likha aataa hai.

khaak tthokar ke baad sar pe aati hai.

aiwaz meiN yaar ki yaad ke sab kuchh nahiiN bhooley,
phir ishq nahiiN koi aur hi beemaari hui hai tumheyN

ghazal meri muhabbat ka izhaar nahiiN mahaz,
muhabbat ki gahraai ka kuchh andaaz lijiye,
jo samajhni hai kaifiyat meri bataur e aashiq,
to roo b roo guftgoo khamosh rah ke kijiye.
.

‘kayar’
11/05/2013