KahaaN Aadaab Maanaa Jaayegaa…

ho chale sab apne kuchh kuchh,
pyar sabse ho chalaa kuchh kuchh,
toH ab dushman bhi ghair nahiiN ,
wo apne kyoN na hoN kuchh kuchh.

****

maar do til-til chahey ek dam dam nikley,
inta ho shukr jubaaN pe naam ho jab dam nikaley

duniya ghumati hai chobees ghanta roz roz,
pakrhii dhurii tab gham-e-duniya se bach nikaley.

****

safaroshi ki tamanna sabke dil se nikal gayii,
sabko chaahiye ab gaadi ek nayi nayii,
aisey naujawaaN hongey toh kya hoga aiy hindostaaN,
kya kya hoga khuda jaaney apni umr guzar gayii.

****

****

utthaney lage mahfil se jab aansoo nikalaney band hue,
afsos intnaa rah gayaa ke wo kyoNkar na razaamand hue .

****

muhabbat karo to sabr se yehi kaamyaabi hai,
sila chaho to muhabbat muhabbat kahaaN huii.

****

nazar jhukaaii ke ek hasti kharhii thii saamney,
sar jhukaana bhar kahaaN aadaab manaa jaayegaa.

****

Ya khuda puraani adaayeN, aaj tak pareshaan huN,
nayi nayi jo aazamaaiiN toH kahaaN jaayenge ham.

****

Dil ko cheer ke rakh detey haiN unke bayaaN,
kabhii unke hotth zakhmii nahiiN dikhey hamko.

****

daaman ko aie dost taar taar na karo,
sil bhi jaaye toH phataa hi kahayegaa.